Website
Ya Blog Ki Traffic Jyada Karne Ke 10 Most Popular Tricks
Dosto Yaha Par mai aapko 10 tricks bataunga jisko follow
karke aap apne website ya blog ki traffic kafi had tak badha sakte hai.
1: Unique Post Title.
2: Unique Post Description.
3: Use Fast Loading Template.
4: Submit Site At Search Engine.
5: Meta Tags.
6: Domain.
7: Post Social Media Par Share Kare.
8: Ad Word.
9: Guest Post.
9: Keywords.
Blog
Ya Website Ki Traffic Kaise Badaye
1. Unique Post Title:
Hello Dosto Jab Aap Apna Post Likhte Hai to use pehle
aapko ek best title ko select karna hota hai jo aap sahi se select nahi kar
pate jisse aapke post ka traffic nahi mil pata hai to dosto mai aapse bolna
chahta hu ki jab aap apna post likhe to use pehle apna title select karle aur
title me ( Best, Super, Good, Killer, top) aise word ka use kare jisse vigitor
ko aapka post title pasand aaye aur wo aapke Title par click kare aur aap kisi
ka bhi tital copy naa kare same title hone par google aapke post ko ignore kar
sakta hai.
2. Unique Post Description:
agar aap apne post ka description use nahi karte hai to
ye bahut buri bat hai aap apne post se related description jarur dale jisse
visitor ko samajh me aasake ki aapke post me kya kya hai aap aisa description
dale ki visitor samajh jaye ki aapki post quality wali hai aur wo aapke post ko
jarur padhe.
3. Use Fast Loading Template:
Aap apne website ya blog me fast loading wala template
use kare jisse aapke visitor ko koi paresani naa ho aur haa apka template aisa
hona chahiye seo friendly aur mobile friendly jisse aapka blog ya website
search me jaldi aaye aur aapka blog ya website ka look mobile me bhi achchha
dikh sake aur dosto aap is bat ka jarur dhyan de ki aapne apne blog ka design
kaisa kiya hai agar aapne apne site ka design achchha kiya hoga to aapke
visitor aapke site par jarur aayege kyoki jyada tar visitor achchha look aur
fast loading wale website par jate hai.
4. Submit Site At Search Engine:
Dosto Agar Aapne Apna Site Google, yahoo, Bing jaise
search engine me submit nahi kiye hai to aap apna site search engine me jarur
add karle kyoki agar aapne ise ignore kar diya to samajheye aapke site par
traffic kabhi nahi aayega to dosto aap apna site search engine me jarur add
kare aur sath hi sath aap apne site ka sitemap jarur add kare.
5. Meta Tags:
dosto aap apne site me meta tags jarur add kare agar
aapne meta tags abhi tak use nahi kiya hai to aap jarur use kare meta tags use
karne se google ko ye pata chalta hai ki aapke site par kya kya hai aur jab koi
visitor search marta hai to google aapka site use related post uske samne rakh
deta hai to aap meta tags bhi jarur add karle.
6. Domain:
dosto agar aap apne blog me domain add nahi kiya hai to
mai aapse kahna chahta hu ki aap apne blog me domain add jarur kare isse bhi
aapki traffic bahut badh sakti hai waise bhi maine domain nahi liya hai lekin
mai ab lene wala hu domain lene se aapko bahut fyada milega aapki site ke
ranking badhega aur traffic bhi to aap bhi domain jarur add kare.
7. Post Social Media Par Share Kare:
Dosto Agar Aap Apna Post likhne ke bad post ko share nahi
karte hai to ye bahut badi galti ho sakti hai aapki aap apna post likhne ke bad
social media par share jarur kare jisse aapki traffic to jyada hogi hi sath me
aapke site ko kitne log jaan payege ki aapki site par kya kya hai aur wo aapke
site par jarur aayege to dosto post publish karne ke bad apna post share jarur
kare.
8. Ad Word:
Ad Word se hum apne blog ka ad bnake add karte hai ki jab
koi visitor search engine me koi Jankari search kare to aur aapke site me
keyword use related hai to aapka site bhi search me sabse upper aaye ye hai ad
word ka kaam aur agar aap ad word ka use karte hai to isse bhi aapke blog ka
traffic kafi had tak badh sakti hai.
Note:
adword aapke site ka promation bhi kar sakta hai lekin ye free nahi hai agar
aap apna promation karna chahe to aap ad word use kar sakte hai
9. Guest Post:
Dosto Guest Post ka matlab hota hai ki hum apna post likh
ke dusre site par publish kare dosto hame apna post aise site par guest post
karna chahiye jiski traffic high ho guest post se aapko fyada ye hoga ki us
site ke jo visitor honge wo aapke site par bhi ayenge jisse aapki traffic kafi
badh sakti hai aur guest post karte samay aapko ye dhyan rakhna chahiye ki us
site ka traffic jyada ho aur guest post likhne ke bad aap us post me apna naam
aur website jarur de aur sath me ye bhi likhe ki aap hamare site par jarur aaye
to yahi hai guest post ka asli maksad.
10. Keywords:
Dosto Aapko ye to malum hi hoga ki hum keyword kaha par
use karte hai agar aap apne post me keyword use nahi karte hai to ye bhi aapki
traffic kam kar dega aap jis post ko likh rahe hai use related 4 se 5 kewords
bhi dale post likhte samay jaise maine is post me tital de rakaha hai website
ki traffic aise hi kuch aap bhi use kare apne post me jisse aapki traffic badh
sake.
dosto mai manta hu ki aapne ye sab try kar liye honge aur agar aapka phir bhi traffic nahi badh raha hai to aap apne website design aur post content par dhyan de isse aapki traffic jarur jyada hogi.
to dosto ye Jankari aapko kaisa laga comment me jarur
bataye aur post se related koi questions hai to comment me jarur puche aur aap
mere site ke facebook page ko jarur like kare..
0 Comments