Dosto aaj duniya me lagbhag sare aadmi ke pass mobile ho
gaya hai ghar ghar me mobile hai aur usme se sabse jyada dikhne wale mobile
smart phone hi honge kyoki aaj kal sare android smart phone ke pichhe bhag rahe
hai mana ki other bhi bahut sare acche brand ke mobile hai Ex. apple, soni,
samsung, blackberry aye sab bhi hai lekin pure world me ye record ban chuka hai
ki android sabse jyada popular handset ban chuka hai to dosto aaj mai android
phone ki tips or tricks ki baat karenge unke kuch problem aur solution bhi
janege agar aapke pass bhi koi bhi android smart phone hai aur aap bhi apne
mobile me ye tricks apnana chahte hai to aap mere post ko pura jarur read kare
isi liye mai aapko Top 10 Android Phone Tips And Tricks Hindi Me dene wala hu.
Yaha par aaj mai aapko android ki top 10 tricks and tips
batane jaa raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko aur achha aur smart
bana sakte hai isme aapko android ki bahut sari batte sikhne ko milegi to
chaliye dosto jante hai..
Top 10 Android Phone Tips And Tricks Hindi Me
Android Phone ko fast kaise kare?
Dosto bahut dino se mere pass comments aur whatsapp par
messages aaraha hai ki hum apne smart phone ko fast kaise kare jab android
phone new hote hai to kuch din sahi chalte hai lekin kuch din bad old ho jane
ke bad unke processor me thoda fark dikhne lagta hai kam ram hone ki wazah se
jiska karan aapka android hang or slow ho jata hai lekin mai ek trick btata hu
jiski madad se aap android smart phone ko fast bana sakte hai.
Ans:
sabse pehle aap apne android mobile ke setting me jaye phir about device par
click kare uske bad phir build number par 7 bar tap kare uske bad aap apne
mobile ke setting ko phir open kare uske bad niche aapko developer option
dikhae dega usko open kare waha par ek on,off ka buttom hoga waha par aap off
karde bas ho gaya aapka android fast
Note: aur
agar aap aur bhi fast karna chahte hai to aap unusable app ya game ko uninstall
karde aur google play games (google play service) ko hames update rakhe
Android smartphone ka pattern kaise tode?
Dosto ye to bahut aam si baat hai aap log apne mobile me
pattern lock to jarur lagate honge apne mobile ko safe rakhne ke liye aur kabhi
kabhi aisa hota hai jaldibagi me lagaya gaya password yaa pin aap bhool jate
hai to aaj mai aapko iska solution bhi bata deta hu kaise tode pattern lock
lekin haa isme aapka pura phone memory data delete ho jayega kyoki aapka
handset format hoga.
Ans: aap
apne smart phone ka power buttom + valume up buttom ko ek sakth press kare 15
second tak ab aapke samne ek menu open hoga usme aapko factory reset select
karna hoga valume buttom ki madad se phir ok ke liye power buttom ko press kare
phir yes par click karke mobile format karde aapka pattern lock toot jayega.
Note: aap
apna handset ko swich off karle phir sabse pehle bata du ki agar aapka smart
phone samsung ka hai to usme aapko 3 buttom ek sath press karna hote hai aur
other 2.
Android phone ki battery life kaise jyada kare?
Dosto aap apne mobile me video aur song sunne ya dekhne
ke chakker me ye bhool jate hai ki hamare mobile ka battery back sahi hai ya
nahi kahi koi battery par problem to nahi isi liye abhi mai aapko aapke smart
phone ki battery ke life ko jayada time tak karne ka tips bata raha hu
Ans:
uske liye aap sabse pehle apne mobile useless softwere aur games aur live
wallpaper ko delete karde jo aap use nahi karte hai uske bad aap apne mobile ki
brightness ko kam karke hi rakhe jisse aapke mobile ke baatery lambay samay tak
chalega aur sabse important baat koi bhi kaam mobile me ho jane ke bad us function
ko turant hi off karde ex: wifi,hotspot,bluetooth,gps,mobile data,
Note:
Agar aap in sare bato ko ignore karenge to aapke mobile ki battery life yakinan
hi bahut jald kam ho jayegi aur dekhte hi dekhte aapko presani jhelni padegi
Android mobile me bina kisi app ke songs, images, data kaise hide kare ?
Dosto kya aapko pata hai ki bina kisi app ke hum apne
android phone me images data kaise chupaye ye mera ek dost ne mere se ye
question pucha tha ki hum bina kisi app ke kaise data chhupaye android me
computer ki tarah to dosto aap jarur chhupa sakte hai chaliye jante hai kaise?
Ans:
agar aapke pass android phone hai to aapko pata hi hoga ki file manager me ek
android ka folder default hota hai mana jaye to aapke android ka backup banata
hai jo kisi chij ko recovery ke kaam aata hai aur wo folder hi hide folder hota
hai matlab ye ki aap agar us folder me kahi bhi koi image ya song ya video
rakhe rakhe aur mobile ke gallary khol kar dekhe wo video ya iamge show nahi
hoga aap usme kahi bhi rakh de lekin dhyan rahe ki aap us android wale folder
ko delete hi naa marde bhool kar kyoki aisa jyada log karte hai.
Note: aap
us android folder me jaha bhi apna data rakhe hai us folder ka naam yad rakhe
nahi to aap bhool sakte hai jisse aapko dundhne me paresani hogi.
Android phone me network fail ya link fail kaise solve kare?
Dosto agar aap android smart phone use karte hai to aapko
ye to pata hi hoga ki jyada tar android smart phones network problem hota hai
ya emergency network me hota hai iska ek solution sayad aapke mobile me kaam
kar jaye try karne me kya jata hai.
Ans: jab
aapka network turant hote hue bhi bhag jaye tab aap setting me jaker flight
mode ko 1 minute tak on kare phir off karde aapka link ya tower wapas aaja
yega.
Note: ye
jyada tar problem low prices wale smart phone ya chinies phones me hota hai.
Android phone me text backup kaha save karte hai?
aap agar kuch apne mobile me type karte hai ya koi
message ya koi naam ya kisi ka koi personal imformation turant kaha save karte
hai mere khyal se aap sayd messages me jake save karte honge jisse aapko kafi
time lagta hai usme hame ye bhi malum nahi hota hai ki kaise save kare lekin
aapne samne hi aisa app moujood hota hai lekin aap use miss kar jate hai memo.
Ans:
isme aap apna kuch bhi text type karke save kar sakte hai phir jarurat padne
par read kar sakte hai jo aapke liye important hai maan ligiye ye app diary ki
tarah hota hai.
Note:
isme aap kuch bhi type karke save kar sakte hai aur agar koi personal
information hai to aap isme type karke save karde phir is app ko disable karde
jisse ye app hide ho jayega.
Android phone me voice search kaise kare?
Dosto kya aap apne phone me bina type kiye internet
chalana chahte hai to aap voice search karke aisa kar sakte hai magar iske liye
aapko 3g net pack ki jarurat padti hai aaeye jante hai kaise search kare
voice..
Ans:
aapke android ke menu me internet ke naam se ek browser aayega usko open kare
usme aapko bolne wala miek jaisa kuch dikhae dega aap usper click karke kuch
bhi bolke search kar sakte ho.
Note: ye
voice search 2g me bhi search karta hai lekin bahut 2g network slow hone ki
wazah se kabhi kabhi ye kaam nahi karta hai.
Dosto mujhe pura wiswas hai ki ye tricks aapko jarur
pasand aaye honge to mai aapse yahi kehna chahta hu ki agar aapko other kisi
bhi jankari ki jarurat ho aap yaha par comment me puch sakte hai aur mere site
ko hamesa visit karke kuch na kuch jarur sikhe is post ko lekar aapke man me
koi sabwall hai to aap comment me puch sakte hai..
0 Comments