How to Earn Money Online In Your Phone Hindi
Hello friends aaj Mai aapko battane wala hu aap apne
mobile phone se online money kaise earn kar sakte ho. hum sabhi ko pata hai ki
hame jine ke liya jo basic need roti, kapra or makan hai or ise pane ke liye
log kai tarah ke kam karte rahte hai, Money earn karne ke do tarike hai offline
or online jo offline rahte hai offline se bhi paise kamate hai or online pe bhi
lage rahte hai. Mai koi airtel, jio, voda en jaise online company ke bareme
nahi batta raha hu. Dosto abhi ke daur me har ghar me koi na koi Internet pe
apne hunar ko aajmaraha hai or usse money earn kar raha hai to mai kuch online
platform battane wala hu ki aap bhi us platform ke upar online kam karke apne
mobile se paise kama sakte ho.
1. Android App
Aap apne Mobile
mai app use to karte hi ho jaise facebook, telegram, whatsapp ye app aap use
karte hong per play store pe yese kuch app bhi hai jo aap us app se paise earn
kar skte ho jaise:
(i) Dream11 uspar aapko aapni team banani padti hai or
kuch contest rahte hai un contest ko join karke aap lakho rupay kama sakte ho.
(ii) MPL app es app me aap game khal kar bhi paise earn
kar sate ho ya aap apne friend ko refer kar ke bhi money earn kar sakte ho yese
bhaut sare app apko play store me mile jayenga ki aap unse paise earn kar
sakoge.
2. Youtube
Friends youtube bhi bhaut bada platform hai online money
earn karne ke bhaut sare user india me youtube pe rahte mtlab youtube pe kuch
na kuch dekhte rahte hai har ek chiz youtube pe search ki jati hai aagar apke
andar kuch talent hai to aap bhi youtube ke uper video banakar online money
earn kar sakte ho, Youtube platform par bhi aap apne bhi bareme logo ko bata
sakte ho aagar audience ko apka video aacha laga to apke liye bhaut bada
platform hoga or bhaut sara online se money earn kar sakonge uske bhi bare me
aapko video youtube pe mile jayega ki video kaise banana hai kaise uplad karna
hai ya youtube account kaise create karna hai sare chize aapko youtube pe mil
jyegi. Youtube bhi bhaut aachaa platform hai online money earn karneke liye to
aap yebhi kar sakte ho.
3. Blogging
Friends Blogging subse accha platform hai online paise
earn karne ka aap ghar per rahkar aasanise bhaut sare paise earn kar sakte ho
sirf aapke aandar karne ka tailent hona chahiye apko usme koi bhi topic ke uper
likhna hai jo apko lagta hai vo apne word likhna hai aap koi bhai topic le
sakte ho jisme aapko intrest ho us topic ke uper aap likh sakte ho, jaise
Latest news, Lifestyle, daily needs, traveling, technology, Mobile phone jisme
bhi interest ho aapko uske bareme aapko kya lagta hai vo aap ko likhna hai or
post karna hai agar apko pata nahi to aapko youtube pe sari jankari mile jyegi.
4. Affiliate Marketing
Affiliate Marketing ka matlab jaise flipkar hai amazon
hai ki unke product ham apne website, Social Network par sell karna hai.
Amazon, flipkart ke jo bhai product hai aap affiliate mai link generate karke
apne koi bhi website mai laga sakte hai or us link se koi purchase karleta hai
to apko uska profit mil jata hai is tarah aap affiliate Marketing se online
money earn kar sakte ho.
0 Comments